Jai Hind Jai Bharat 🇮🇳
"Kanoon Ki Baat, Kanooni Ladk Ke Saath"
Ek Advocate aur Judiciary aspirant hone ke naate, maine mehsoos kiya hai ki hamare desh mein kanoon ki baatein aksar kitabon aur courtrooms tak hi simat kar reh jati hain.
Mera Maqsad ⚖️
Hamara kanoon hume bahut saari taqat deta hai, lekin wo taqat tabhi kaam aati hai jab hume uski sahi jankari ho. Maine is blog ki shuruat isliye ki hai taaki:
"Kanoon ki ye mushkil barikiyaan aap tak saral aur apni bhasha mein pahunche."
Har Bharatiya apne haq aur farz ko lekar jagruk ho sake.
Hum milkar ek aisa samaj banayein jahan kanoon se darne ki nahi, balki use samajhne ki zarurat ho.
Aapko Yahan Kya Milega? 📑
Is blog par main share karungi:
- Samvidhan se judi dilchasp baate aur facts.
- Rozmarra ki zindagi me kaam aane wale legal Rights.
- Mahatvapurn court judgements jo hamari zindagi par asar dalte hai.
"Hamara Samvidhan, Hamara Swabhiman"
वाह बहुत सुंदर नीति .. अब हम कह सकते हैं कि ,,"ये लड़की बड़ी कानूनी है ।" बहुत ही अच्छा कार्य शुरू किया है आपने ... बहुत बहुत शुभकामनाएं ...
ReplyDeleteThank you so much 🙏
Delete